Thursday, October 26, 2006

Ek Pal ka Khwaab

0
Kab ke havaa hue vo din, jab tum mere hua karte the.
Ek khwaab tha vo, jise hum saath jiya karte the.
Fir aaya ek din, jab meri zindagi ne liya ek mod.
Badal gaye tum, fir dekha tumne meri or.

Tumhaari aankhon me kya tha ? Jo mera dil dhadakna bhool gaya.
kya vo khushi thi ya bhulaaye pyaar ke pal, ki mera rom rom sihar gaya.
Jeena to maine kabhi ka chhod diya tha, par aaj zindagi ne fir darwaaze pe dastak di thi.
Kholte darwaaza darr lagta tha, Kya vo zindagi ab mere haq ki thi ?

Dil ke aage zor chala hai kabhi kisi ka ? Mera bhi mannchala tha
Khola darwaaza to dekha, bahaaron ko mera intezaar tha.
Thaama haath phir tumne mera, zinda ho gaye phir se vo pal.
Kashmakash thi ab ye, beeta hua kal tha ye ya aane vaala kal ?

Bhula ke sab kuchch maine, khwaabon ka pakad liya daaman.
Le chale tum mujhe us safar pe, phir jee utha mere sapnon ka aangan.
Sab kuchch to vahi tha. Vahi pyar, vahi apnapan.
Usi tarenh khele hum, usi tarenh phir pyar karne laga tumhe mera mann.

phir samaa liya tumne mujhe apni baahon me, phir zindagi me aa gaye rang.
phir bheed me hokar bhi mujhe ye laga, main tanhaa hoon tumhaare sang.
Haqueeqat bann gaya meri zindagi ka vo din. Sab dard ho gaye door.
Tumhaare saath rehkar phir badal gaya, us shaam ka suroor.

Zindagi jeene ke liye ek pal hi kaafi tha, ye pal bann gaya meri zindagi.
Khwaab tha ye jaanta tha dil mera, par is khwaab me sach se zyaada sachai thi.
Aaj bhi sochti hoon, kya vo din tha ? Ya meri zindagi jeene ki khwahish thi ?
Vo pal haqueeqat ho ya nahin. ab ye ek pal ka khwaab hi meri zindagi thi.