Wednesday, December 27, 2006

Kuchch uljhanein

0
Kashmakash ..

Apne hi andar jab ho jang chhidi is tarenh,
fark karna mumkin na ho sahi aur sahi ke darmiyaan,
poochte ho aap hum se ki kya gila hai humein kisi se,
kya kahein jab khud hi khud ke dushman ban baithe hum yahan?

Vo ek raaz ..

Tamannaon ki inteha nahin hoti
aankhein kabhi bezubaan nahin hoti
laakh kehna chaahein hum tujhse raaz e dil lekin,
mukammal sirf kehne se humaari aashiqui nahin hoti


Dosti Dost ki ..

Dosti kahein ise ya kahein pyaar,
nibhaaiyen dost ki dosti hum ya karein takrar ?
mushkil me hum yaad aayein vo din aaye na kabhi,
beeti daastan bhula karte hain hum dua phir ek baar.

Wednesday, December 20, 2006

Bewafa Zindagi

0
zindagi ae zindagi tumse
humein koi tamanna kab hai
intehaan hoti nahin insaan ki chaah ki
ki chaahna hi tujhse humaari bewafai ka sabab hai

Monday, December 11, 2006

Ek baar phir

0
Khwaab dekhna bhul chuke the hum,
Aaj phir khwaabon ki baharein hain palkon par
duniya ki halchal me kho chuke the hum.
Aaj phir tanhai ki hatheli hai mere haath par.

Jis mukaam ko kahin door chhod aaye the hum,
Usi mukaam ki aahat phir sunai di humein,
Hansi ka matlab phir samjhne lage the hum,
Zindagi ne ek baar phir rona sikha diya humein

Dil ki baat kehna seekh gaye the hum,
kaise kahein par aaj jo dil kehne ko kehta hai humein ?
kaise maan len apne mann ki baat,
jab aaj khud hi khud par vishwas raha nahin humein ?

Barson pehle dekha tha jo khwaab,
uski tasveer phir utaari kagaz par humne.
Jis khwaab ki surat dekhi na thi kisi ne,
Ek nayi surat dekhi usi kagaz mein humne.

Gar khuda ki saazish hai ye,
to dard deta hai khuda kyon humein ?
Dil bebas ho jaata hai is kadar,
Aise jazbaat ki zaroorat kyon hai humein ?

Beet chuke the lamhe jo,
Chhua unhone phir se humein.
Sihran hui phir dil me jazbaaton ki,
phir usi raah par ab chalna hai humein.

Thursday, November 30, 2006

Phir vahi savaal

2
Do raahe pe la khada kiya fir zindagi ne,
phir dikhlaaye vahi sapne zindagi ne,
khwaabon ko aankhon se dil me utaarne ki koshish jo ki,
meri zindagi ka faisla kar diya phir zindagi ne.

Wednesday, November 22, 2006

Khushi

0
Humse na poocho pata khushiyon ka,
ke hum to unhi ke dar par aa ke tike hain.
Gham ne diya saath humaara har kadam
phir bhi hum gham se bewafai kar chale hain.

Tuesday, November 21, 2006

Dard

0
Aadat kyon daal leta hai dard ki koi ?
apnon ke hi diye gham kyon seh leta hai koi ?
sitamgar yaar ki hi khushi ke liye,
dard me bhi kyon muskura deta hai koi ?

Sunday, November 19, 2006

Tum Yaad Aate Ho.

1
Jab hasne ka mann karta hai, par vajeh nahin milti
Tum yaad aate ho.

Jab door tak chalkar bhi manzil nahin milti,
Tum yaad aate ho.

Jab kisi ke kareeb jaakar bhi, doori nahin mit ti,
Tum yaad aate ho.

Jab bahar me bhi dil ki kali nahin khilti,
Tum yaad aate ho.

Kya karoon? Kya kahoon?
Bas tum hi tum yaad aate ho.

Duniya kehti hai ki tumhe bhula doon,
par mann zabaan se kehta hai ki tumhe bula doon.

Avaaz doon bhi to kya faayda?
Dil nahin samajhta ye kaayda

Har kisi ko ek din jaana padta hai,
Apnon se munh mod begaana hona padta hai.

Hum milenge. Aaj bhi ye aas hai.
Dil tumhaara, aaj bhi mere paas hai.

Haan mujhe tum yaad aate ho,
tum hi tum yaad aate ho.

Friday, November 17, 2006

Neenv

0
Kya tha un aankhon me, jinse hat ti na thi nazar meri.
Kya tha un baaton me, jinse chhalakti thi har ek adaa teri.
Pyar ka doosra roop tha tu ? ya ishq ka doosra naam?
Ya fir khud mohobbat ? ya meri zindagi ka anjaam?

Na din ka hua tha aghaaz, na raat thi baaki.
kahin un ghadiyon me, roz tujhse nazaren milati.
Roz poochti un nazaron se, meri zindagi ka kaun sa hissa hai tu ?
Khud hi deti javaab bhi phir, shayad meri zindagi hi hai tu.

Shuru hui kahani kahan se ye? Kisne likhe iske pehle shabd ?
Nazar bhar dekha karti thi tumko? Kya mere the vo lafz ?
Chalte chalte zindagi me, aaya jab ek mod suhaana,
Har khwaab sach hota dikha mujhe, shayad tumhe meri zindagi me tha aana.

kagaz pe kheechi tedhi medhi lakeere, kab ek ashiyaan ka lene lagi roop
kab teri aankhon ke aandheron me, dikhne lagi apni zindagi ki dhoop.
Zindagi kari dil ke havaale, chal padi tere kadam se kadam mila ke main.
Meri zindagi hai jo khwaab, rakhne chali usi khwaab ki neenv main.

Wednesday, November 15, 2006

Dost

0
Dosti badi cheez hai
Dost ke liye insaan kya nahin karta?
Dost ke liye jaan dekar bhi
Kabhi kabhi mann ka mann nahin bharta

Dost aate hain chale jaate hain zindagi me,
Dosti ki yaadein reh jaati hain.
Yaadein aati hain sirf, jaati nahin
yaadein hi dost ki dosti ban jaati hain.

Dil dukhaaye koi to hum kya karein
Dil liye baithe reh jaate hain hum
Humaari zaroorat kabhi pade nahin,
Dost ko yahi dua dete hain hum

Apni zindagi me baharon ka mausam
kabhi dukh ke toofaan aate hain
Baharon me apne saath chalkar bhi,
toofan ka akele saamna dost hi kar jaate hain

Dost milte hain asaani se
Dosti nibhaana mushkil hai
Khamosh rehte hue bhi, sab kuchch keh jaana
Dosti se hi haasil hai.

Khushnaseeb hai vo, jise zindagi ke har kadam par
Milta hai ek naya dost
Us se bhi zyaada khushnaseeb vo hai
jiska har kadam saath deta hai ek hi dost.

Thursday, November 09, 2006

The face that I cannot forget.

0
The days were cold.
The embrace warm.
When did the evening,
turn into the colors of dawn ?

The light was soft.
The rays played across your face,
I couldnt take my eyes off,
such was the magic in space.

I remember looking at you,
thinking why God plays this game.
Just looking into your eyes
and falling in love all over again.

There u were,
sitting in front of me.
Looking into my eyes,
telling me u love me.

My heart skipped a beat
My speech stuttered.
It must have taken an eternity,
before another word was uttered.

I think about those days,
feeling the feelings again.
My heart still skips a beat
but my eyes glaze over with pain.

Someday I will move on,
but will that day ever come ?
Do i even want to forget those days,
the happiness and the fun?

I have loved and I have lost,
It has to work both ways.
Hope is the soul of life and dreams,
With someone else will i live those days.

Tuesday, November 07, 2006

Hosh ..

0
Hosh ..

Toote dil ka gham zamaana kya jaane
Paimaane se chhalakti sharaab ka nasha saaki kya jaane
Dard ki ho gayi hai ab to aadat humko
Hosh me aaye beeta kitna zamaana kya jaane

Intezaar ..

Roz hoti hai mulaqat tujhse yaadon me
Teri nazar ka noor aaj bhi hai meri aankhon me
Karein kitna intezaar ab tera zaalim
Murjha gaye phool bhi bichche jo teri raahon me


Yaad ..

Dil me thi ek dhundhli si yaad
Yaadon me kahin chhupi thi mere pyaar ki shuruat
Hum to bhoolaye baithe the zamaana par
Teri yaad aayi har saans ke baad.

Yaad .. Intezaar .. Hosh ..

Yaad aane se kho jaate hain hosh
bekhudi deti hai janm intezaar ko
intezaar ke pehlu me hi chhupi hain yaadein aapki
aur aap kehte ho chhod do intezaar ko ?

Thursday, October 26, 2006

Ek Pal ka Khwaab

0
Kab ke havaa hue vo din, jab tum mere hua karte the.
Ek khwaab tha vo, jise hum saath jiya karte the.
Fir aaya ek din, jab meri zindagi ne liya ek mod.
Badal gaye tum, fir dekha tumne meri or.

Tumhaari aankhon me kya tha ? Jo mera dil dhadakna bhool gaya.
kya vo khushi thi ya bhulaaye pyaar ke pal, ki mera rom rom sihar gaya.
Jeena to maine kabhi ka chhod diya tha, par aaj zindagi ne fir darwaaze pe dastak di thi.
Kholte darwaaza darr lagta tha, Kya vo zindagi ab mere haq ki thi ?

Dil ke aage zor chala hai kabhi kisi ka ? Mera bhi mannchala tha
Khola darwaaza to dekha, bahaaron ko mera intezaar tha.
Thaama haath phir tumne mera, zinda ho gaye phir se vo pal.
Kashmakash thi ab ye, beeta hua kal tha ye ya aane vaala kal ?

Bhula ke sab kuchch maine, khwaabon ka pakad liya daaman.
Le chale tum mujhe us safar pe, phir jee utha mere sapnon ka aangan.
Sab kuchch to vahi tha. Vahi pyar, vahi apnapan.
Usi tarenh khele hum, usi tarenh phir pyar karne laga tumhe mera mann.

phir samaa liya tumne mujhe apni baahon me, phir zindagi me aa gaye rang.
phir bheed me hokar bhi mujhe ye laga, main tanhaa hoon tumhaare sang.
Haqueeqat bann gaya meri zindagi ka vo din. Sab dard ho gaye door.
Tumhaare saath rehkar phir badal gaya, us shaam ka suroor.

Zindagi jeene ke liye ek pal hi kaafi tha, ye pal bann gaya meri zindagi.
Khwaab tha ye jaanta tha dil mera, par is khwaab me sach se zyaada sachai thi.
Aaj bhi sochti hoon, kya vo din tha ? Ya meri zindagi jeene ki khwahish thi ?
Vo pal haqueeqat ho ya nahin. ab ye ek pal ka khwaab hi meri zindagi thi.