Wednesday, November 26, 2008

Kaash ...

7
Tanhaai ke us pal mein, 
socha humne,
ki kaash, hota koi,
humein bhi jispe pyar aata.

Lipat jaate kaash hum,
bhar lete use baahon mein,
sardi ka ehsas na hota,
dil khul ke, jhoom ke gaata.

Liye haathon mein haath,
shaam ko karte subah,
aankhon se uski, kaash humein,
duniya mein rang nazar aata.

Ek purani kitaab se nikali,
kahani ho jaise,
meri aankhon mein dekh,
kaash ek baar vo muskurata.

Khyaalon mein aata tha,
shabd ye kaash,
ab kuchch dinon se,
toota is shabd se naata.

Hua karti hain, kahaniyan bhi sach,
ek kahani yeh bhi,
jismein kaash kehne ko,
ab dil nahin chaahta.


~Neha

Sunday, August 10, 2008

A Glass Full of Life ..

2
A night that sparkled with stars,
A rooftop that gossiped with the wind,
A glass full to the brim with life,
and the love and laughter of a friend.

I hang on to those days,
When I had not, a care in life.
The glass of life was all that mattered,
The wind in my ears didn't feel like a knife.

I still return to those moments at times,
I hang on to the rails and wonder.
Times like these I can feel them again.
The friends, the laughter and the thunder.

The times when it rained,
the heavens showered their love.
The times when I ran for life, and danced,
in the rain, in the love from above.

The times when I walked,
down the road, in the moonlight.
To comfort the friend, to convey my love.
to tell them to hang on, to hold on tight.

I wonder, if those days are gone,
or if I have just grown up.
I look around and see the waves,
the sparkling smiles, the clinking cups.

The moments are still here,
all I have to do is gaze around.
To wait for the nights to sprinkle their stars,
To hold on to the glass and paint the town.

~Neha

Saturday, August 02, 2008

Vo din ..

1
Kitne dinon baad aaj jharokhe se jhaanka toh paaya humne,
Ek naya rishta, kuchch purani yaadon ke saath.
Ek havaa ka jhokha chhua, toh yaad aaye beete pal,
jinhein guzara tha humne kabhi, apni beeti mohabbat ke saath.

Baarish ki boondein chhan chhanayi, teen ke chhappar par,
toh dekha humne, un nanhi munhi muskaanon ko.
Koodte, faandte, kagaz ki kashti ko doobne se bachaate,
un chhote haathon ka rishta dekha, khushiyon ke saath.

Falak se tapakte paani ki boondon ka jaadu hi tha,
hum bhi chal pade, badappan ko chhor door kahin,
Nanhi si kashti ko thaame hue dekha, basta ek naya rishta,
us muskurahat ka, meri dil ki dhadkan ke saath.

Un chhoti aankhon mein ashayein thi, ankahi daastan thi,
Ek nayi muskurahat khilte dekhi humne, apni hansi ke saath.
hum jo kehte hain samajhdaar khud ko, kaise bhoole baithe hain,
ye ek chhota sa rishta, nanhi aankhon ka sapnon ke saath.

Duniya bhaagi chali ja rahi hai, hum bhaage saath uske,
par ek baar mud ke dekhein toh, un purani yaadon ko,
jinmein the aasmaan chhoo lene ke sapne,
sapne ghar basaane ke, un sitaron ke saath.

Aaj naukri ke chakkaron ne bhula diya, ki bachpan kitna anmol tha,
bhool gaye vo sangi saathi, jo humaari kashti ke hissedar the.
Yahi soch, chhor chale hum fir zimmevariyon ko,
chale ek baar fir bade bade sapne sajaane, apne chhote se mann ke saath.

~Neha

Thursday, May 15, 2008

Ek Ajnabi ..

1
Aaj ek pal hai paas mere, dil ko sukoon hai, araam hai.
Beete din, saal, mahine aise, mere khwaabon ko bhi aaj kehni ek fariyad hai.
Bachpan ke hum saathi tere, sang rahe, chaahe dhoop ho ya saaya,
kis haal mein honge bhoole khwaab, mann mein kabhi ye khyaal na aaya ?

Main sharmayi, sakuchayi, boli dheere se khwabon se,
bichhar gaya vo jiske hisse the tum, chhoota mann phir mera tum sab se.
Bhatakti thi main bhi bin baat hi, yaad aati thi har lamha tumhaari.
phir duniya ko gale lagaya, bhool ke tumse apni yaari.

Muskura diye khwaab, pakad haath, bitha liya paas mujhe,
Bole, hum toh tere apne hain, duniya ne kya diya tujhe ?
Duniya ka mann maila hai, vo kabhi kisi ko nahin apnaati.
matlab nikaal, phir nazar churaane se bhi nahin sharmaati.

Haan, hua kuchch aisa hi mere saath bhi. Duniya ne diye dhoke kai baar,
Jinhein dost keh kar milvaaya mujhse, unhone hi kiye mujhpe vaar.
Par duniya ke hi daaman mein chhupi, thi ek tanhai bhi,
usne diya mera saath har kadam, ban gayi vo jaise meri parchhaai hi.

Khwaabon ne lagaya gale mujhe, bole, humse ab kya sharmaana,
duniya ko, tanhai ko chhor, humaare dil mein phir se tu bas jaana.
Hum saath dekh kise laayein hain, vo door khada hai jo,
ek safar hai uski nazaron tak ka, ab haath pakad chal us or.

Saare safar rahenge saath tere, vaada hai ye humaara tujhse,
Aankhon mein dekh sachchai khwaabon ke, phir raha na gaya mujhse.
Kadam badhaaye, chali us or, khada hai ek ajnabi jahan.
Shayad bane dost mera aur khwaabon ka, shayad bhula sakoon main duniya ko vahan.

Thursday, March 06, 2008

Mere Sur, Meri Duniya ...

3
Dil kiya aaj phir,
phir liye baithi hoon main,
ek kalam, ek kagaz, kuchch rang syahi ke,
ukerne phir ek baar, apni tamannao ke aks.

Ek dhun ka chehra dikhta hai mujhe,
gungunaati hoon ek geet kuchch bhoola sa.
Yaad aate hain vo tanhai ke pal,
jinka mann me lagta hai kabhi ek fera sa.

Aaj saaz uthaane ko phir jee chaahta hai,
phir ungliyan saath chaahti hain un taaron ka,
jinhe chherne se nikalti thi dil ki awaaz mere,
jinke suron par gaa uth ta tha aangan mera.

Kehte hain sur dheere se mere kaanon me,
awaaz do humein, daude chale aayenge.
Tumhaare dil ki awaaz, aks, shabd, rang nahin,
sirf hum hi hain jo sun paayenge.

Uthao saaz, chhero vo nayi dhun,
jo haath pakad tumhaara, le aaye yahan,
jahan baste hain muskurahat aur pyar,
jahan hai tumhaari apni duniya.

Duniya jisme tum ho aur sangeet hai,
duniya jisme hum hain tumhaare sangi saathi.
Jahan door tak faila asmaa,
aur us asmaa ki zameen us me simat ti, sharmati.

Maan li suron ki baat maine,
thaame haath, phir rakha kadam vahan,
Jahan ye sur hi mere saathi, mere mann meet hain,
Mere bhoole khwaab, meri chhoti si duniya hain jahan.

Duniya jisme ik behti dhara, ek ghar, ek sansaar hai,
jisme mere mann ka saare geet, har saaz hai.
Duniya jisme ek indra-dhanush ke rangon me bikhra,
mere mann mein chhupa vo ek chhota sa khwaab hai.

~Neha

Thursday, September 20, 2007

Amazed Am I ...

3
How easy it is,
for one to deny,
Probability of life,
Amazed am I.

How simple it is.
A soul's sacrifice.
To not feel,
Amazed am I.

How far I have come,
so silent is the sigh.
I love no more.
Amazed am I.

How true they are,
that call me a hypocrite.
Didn't I strangle life ?
Amazed am I.

How devastatingly simple it is,
to shut in tears and smile.
To become a shadow of life.
Amazed am I.

How handy it is,
a beautiful lie.
A whisper short of death.
Amazed am I.