Wednesday, November 26, 2008

Kaash ...

7
Tanhaai ke us pal mein, 
socha humne,
ki kaash, hota koi,
humein bhi jispe pyar aata.

Lipat jaate kaash hum,
bhar lete use baahon mein,
sardi ka ehsas na hota,
dil khul ke, jhoom ke gaata.

Liye haathon mein haath,
shaam ko karte subah,
aankhon se uski, kaash humein,
duniya mein rang nazar aata.

Ek purani kitaab se nikali,
kahani ho jaise,
meri aankhon mein dekh,
kaash ek baar vo muskurata.

Khyaalon mein aata tha,
shabd ye kaash,
ab kuchch dinon se,
toota is shabd se naata.

Hua karti hain, kahaniyan bhi sach,
ek kahani yeh bhi,
jismein kaash kehne ko,
ab dil nahin chaahta.


~Neha